Ek Din Achanak Part 46
Sabki life mast chal rahi thi ki ek din achanak ek ghatna se kai logon ke jeewan mein parivartan la diya. Huya yun ki Saturday ka din tha aur Manish ka birthday tha. Usne Jay, Jawed aur baaki doston ko birthday party mein invite kiya.
Ab Manish ki birthday party thi to uski Girlfriend ka aana to tay tha lekin pareshani ye thi ki wo akeli nahin aayegi uske saath uski behan Jassi bhi aayegi. Ab Jassi ko kaun jhelega. Use ignore bhi nahin kar sakte kyunki agar use ignore kiya to Manish ki to band baj jayegi.
Ab sawal ye tha ki use jhele kaun. To sabne faisla liya ki bali ka bakra pehle ki tarah Jawed hi banega. Jassi ke saath poori party ke dauran rehna aur uska khyaal rakhna Jawed ke jimme aa gaya.
After all birthday boy ki GF ki behan jo thi. Ab Jawed kya kehta uska to chehra aise ho gaya tha jaise kisi ne use maut ki saja suna di ho. Hatasha bhari awaaz mein usne hami bhar di. Iske baad sab party ki tayyariyon mein lag gaye.
Halanki sab college mein aa gaye the lekin janamdin wohi bachpan ko yaad karta huya mana rahe the. Wohi rang birange gubbare jise fulane mein sabki saans ful gayi. Kagaj jisse HAPPY BIRTHDAY likhne mein sabke haath gond se chipak gaye the aur chipke bhi aise ki Fevicol ka AD sabko yaad aa gaya (Ye Fevicol ka majboot jod hai tootega nahin).
Ek bada sa choclate cake jis par sab apni lar tapka rahe the. Do teen tarah ki namkeen, biscuits, snacks etc. plates mein sajane mein sab lage the. Kami thi to bas sar par lagane wali topi ki jo Manish janbhujkar nahin laaya kyunki laata to use hi sabse pehle pehanni padti.
Sab dost dopahar se college chutne ke baad se hi Manish ke ghar dera jamaye huye the. Manish bhi man mein gali de raha tha saala itna kharcha to party mein bhi nahin hona jitna ye log dopahar se shaam tak kha kha kar denge. Kabhi inko wafers chahiye, kabhi cold drinks, kabhi sweets to kabhi kuch. Saala isse to achha tha ki main akele sab arrangement kar leta.
Lekin wo kehte hain na Ab Pachtaye Hot Kya Jab Chidiya Chug Gayi Khet. Bas ab jab sabko bula liya hai to jhelo. Lekin dost hote kaise hain jab dekho tab ek doosre ki jeb kate rehte hai lekin jab waqt aata hai to ek doosre ke liye jaan dene mein bhi peeche nahin hatte. Bas Manish unhen dekh dekh kar khush tha ki sab uske liye kitna kar rahe hain. Itna to koi saga bhai bhi nahin karega.
Shaam tak sab tayyariyan ho chuki thi. Cake bhi aa gaya tha jispar rangeen candles laga di gayi thi. Charon taraf gubbare chipke huye the, kagaj se Happy Birthday deewar par likha huya tha. Usi se phoolon ki chadar jaisa chat par bana diya gaya tha.
10 saal purana cassette player jise kal hi thok pitkar gaane sunane ke liye specially tayyar kiya gaya tha. Chamchamate kapde jo kal hi road side par lagne wale bazaar se kharide the aur us par khusbudar scent chidka tha jisme se ab khusbu aa rahi thi ya badbu ye to pata nahin haan lekin lagaya jaroor tha.
Sab intezar kar rahe the ladkiyon ke aane ka aur reh reh kar Jawed ko chidaya ja raha tha. Jawed ki bolti band thi. Use wo din yaad aa raha tha jab aisi hi kuch halat Jawed ki Jassi se milne jaate waqt huyi thi. Lekin tab aur aaj mein jameen aasman ka antar tha. Sabki nigahein darwaje ki taraf thi. Sanju ne to bahar door tak ek round bhi lagaya lekin dono ka kuch ata pata nahin tha.
Aakhir kitna intezar karte sabko apne apne ghar bhi jaana tha. 7 baje ka time tha aur 9 to aise hi baj gaye the. Shayad dono kahin fans gayi hongi ye sochkar sabne cake katne ka man banaya. Idhar Jawed Bhai man hi man bahut khus the ki unka peecha chuta. Jaan Bachi to lakho paye aur Laut ke budhu Ghar ko aaye wali kahawat un par fit baith rahi thi.
Manish bhi man marker centre table ke paas pahunch gaya jahan cake rakha huya tha. Wahan jaakar usne mombatti jalai aur ek aas ke saath darwaje ki taraf dekha lekin koi fayda nahin. Shayad wo nahin aayengi to unke chakkar mein baaki dost ka waqt kyun barbad karun yahi sochkar jaise hi Manish ne mombatti par phoonk marni chahi ki use saamne se do ladkiyan aati dikhai hi jise dekhkar sab chaunk gaye.
Jassi ki behan ko to kai dost pehchante the lekin uske saath jo ladki aayi thi wo sabke liye anjaan thi. Wo aisi lag rahi thi jaise swarg se koi apsara jameen par utar aayi ho. Kaale lambe baal kamar tak jinhe bade saleeke se banaya gaya tha.
Gora rang aur us par gehri kaali aankhen jinme doob jaane ko ji chahta hai. Kul milakar ye kaha jaye ki wo kudrat ki banayi huyi behtareen nakkashi ka namuna hai to kuch galat nahin hoga. Sab use dekh kar achambe mein the ki ye kaun hai aur yahan kaise aayi.
Ek taraf Jawed ye sochkar khus tha ki Jassi nahin aayi to uska peecha chuta aur doosri taraf is ladki ko dekhkar ho gaya tha. Kya koi ladki itni khoobsurat bhi ho sakti hai. Kaash Jassi ki bajay mujhe is ladki ki dekhbaal karne ko mil jaati to maja aa jata lekin ab koi mujhe uske paas fatakne bhi nahin dega.
Manish bhi hairan tha ki Jassi ki behan ke saath wo do saal se relation mein hai lekin usne kabhi bhi is ladki se na to milwaya aur na hi kabhi iske bare mein bataya. Aaj achanak ise yahan kaise le aayi.
Sabhi uski or ek tak dekhe jaa rahe the aur Jassi ki behan aur wo ladki dono muskura rahe the. Ek ajeeb sa sannata wahan pasar gaya tha. Manish ne hi is sannate ko bhang kiya aur Jassi ki behan se poocha ki ye ladki kaun hai. Jassi ki behan ki to hansi foot padi aur kaafi der tak wo hansti rahi.
Sab bhauchakke se use dekh rahe the khaskar Manish kyunki use kuch samajh nahin aa raha tha ki usne aisa kya pooch liya jo ye itni jor se hans rahi hai.
Jab thodi der mein Jassi ki behan ka hasna band hua to usne bola “Kya tum logon ne ise nahin pehchana. Tumme se kaafi jane to ise ache se jaante hain khaskar Jawed” Ab chaunkne ki baari Jawed ki thi kyunki jaanne ki baat to door usne to isko kabhi dekha bhi nahin tha.
Wo hairan sa kabhi Jassi ki behan ki taraf dekhta to kabhi us ladki ki taraf. Wo ladki mand mand muskura rahi thi lekin jaise hi uski najrein Jawed se takrayi usne sharma kar najrein chura li.
Jawed ko bada ajeeb laga ki ye ladki aisa kyun kar rahi hai. Jawed hi kya sab dost hairan the.
Manish ne Jassi ki behan se doobara poocha “Yaar paheliyan mat bhujao. Batao na ye kaun hai. Hum mein se isko koi nahin jaanta”
“Are jaante ho guess to karo”
Lekin ab Manish ko gussa aane laga tha jise dekhkar Jassi ki behan shararati muskaan ke saath boli “Are gussa mat ho batati hoon. Ye hai husn ki pari, kal ki modeling superstar, ham sab ki chaheti meri pyaari behan Saloni jise aap log JASSI ke naam se jaante ho.”
To be continued.....
Saba
13-Jan-2022 08:52 PM
Nice
Reply
Kareem
13-Jan-2022 08:24 PM
💖💖
Reply
Ayra S
23-Dec-2021 04:04 PM
👍💙
Reply